in lafzoñ meñ ḳhud ko DhūñDūñgī maiñ bhī
apnī anā kā manzar dekhūñgī maiñ bhī
koī mire baare meñ na kuchh bhī jaan sake
ab aisā lahja apnā.ūñgī maiñ bhī
āñkhoñ se chun kar sab TūTe-phūTe ḳhvāb
patthar kī ḳhvāhish ban jā.ūñgī maiñ bhī
maiñ ḳhud apnī soch kī mujrim Thahrī huuñ
ab ye adālat ḳhud hī jhelūñgī maiñ bhī
kis kis rañg meñ ilhāmāt utarte haiñ
kis kis kī rūdādeñ likkhūñgī maiñ bhī
tasvīroñ ke maddham rañg batāte haiñ
apne ko pahchān na pā.ūñgī maiñ bhī
dukh meñ 'humairā' apnī hifāzat karne ko
pichhle sabhī aaseb bulā.ūñgī maiñ bhī