Humaira Rahman

fasil shahr ki itni buland o saKHt hui

Humaira Rahman

1957
fasīl shahr kī itnī buland o saḳht huī
ki kul sipāh mazāmīn-e-tāj-o-taḳht huī
bujhā charāġh thī maiñ hāsidoñ kī āñkhoñ meñ
duā ke shahr meñ aa.ī to sabz baḳht huī
vo lamha jab mire bachche ne maañ pukārā mujhe
maiñ ek shāḳh se kitnā ghanā daraḳht huī
kisī ne sabz jazīre pe mujh ko rok liyā
safar ke azm kī naav bhī laḳht laḳht huī
ta.alluqāt 'humairā' kabīda hone meñ
nigāh-e-dost kī āvāz bhī karaḳht huī
Top Urdushayar.com