Humaira Rahman

jaise koi ziddi bachcha kab bahle bahlane se

Humaira Rahman

1957
jaise koī ziddī bachcha kab bahle bahlāne se
aise ham duniyā se chhup kar dekheñ ḳhvāb suhāne se
sab kuchh samjhe lekin itnī baat nahīñ pahchāne log
mil jaatā hai chain kisī ko ek tumhāre aane se
ham to ġham kī ek ik shiddat bāhar aane se rokeñ
us kī āñkheñ baaz na aa.iiñ añgāre barsāne se
logo! ham pardesī ho kar jaane kyā kyā kho baiThe
apne kūche bhī lagte haiñ begāne begāne se
dekho dost! tumhārā maqsad shāyad hamdardī hī ho
merā paikar TuuT giregā vo bāteñ dohrāne se
ghar kā sannāTā to 'humairā' hañgāmoñ kī nazr huā
dil kī vīrānī vaisī kī vaisī ek zamāne se
Top Urdushayar.com