Humaira Rahman

dil ko darun-e-KHwab ka mausam bojhal rakhta hai

Humaira Rahman

1957
dil ko darūn-e-ḳhvāb kā mausam bojhal rakhtā hai
ik anjāne ḳhauf se vāqif har pal rakhtā hai
vo jo ba-zāhir har zarra hai tez havāoñ meñ
apne hone kā ehsās mukammal rakhtā hai
tark-e-ta.alluq ne merī bhī soch ko badlā nahīñ
vo bhī shikāyat apne saath musalsal rakhtā hai
registān kā paudā huuñ maiñ aur bahut sairāb
apnā ruup ravayya mujh par bādal rakhtā hai
kañkar pheñk rahe haiñ ye andāza karne ko
Thahrā paanī kitnī 'humairā' halchal rakhtā hai
Top Urdushayar.com