zarā sī baat par nārāz honā ranjisheñ karnā
mohabbat meñ use aatā nahīñ gunjā.isheñ karnā
mirī beTī ne mujh ko dekh kar sīkhā hai barsoñ meñ
purānā ā.īna rakh kar na.ī ārā.isheñ karnā
mirī almāriyoñ meñ qīmtī sāmān kaafī thā
magar achchhā lagā us se ka.ī farmā.isheñ karnā
mujhe bachchoñ kī āñkhoñ meñ vo saare rañg milte haiñ
jinheñ chhūne se aa.e zindagī kī ḳhvāhisheñ karnā
'humairā' dhyān rakhnā Dūbte sūraj kī aahaT kā
sadā chaḌhtī utartī dhuup kī paimā.isheñ karnā