tafkīr ko hurūf ke sāñche meñ Dhaal ke
alfāz ko tū baḳhsh anāsir jamāl ke
tārīf terī eḌ ho tanqīd ho lagām
sahrā-e-fikr meñ uḌā ghoḌe ḳhayāl ke
bahr-e-hayāt meñ haiñ haqīqat ke jo sadaf
ash.ār meñ piro tū ye motī nikāl ke
hai terī jā.edād ye hurriyat-e-kalām
kar sarf is matā.a ko na rakh sambhāl ke
shīrīni-e-hayāt aur talḳhī-e-tajrabāt
hoñ zikr tere sher meñ hijr-o-visāl ke
zāhir tazād ziist ho tere kalām meñ
charche ġhinā-o-faqr atā ke vabāl ke
ho rif.at-e-ḳhayāl terī tā-falak 'anīs'
alfāz aur ma.ānī hoñ jauhar kamāl ke