dīvār-o-dar meñ ġham kā tamāsha to hai abhī
vo ḳhud nahīñ pa us kā bulāvā to hai abhī
mānūs ho chalī hai udāsī se zindagī
paañv ke ābloñ kā nazārā to hai abhī
sach hai ki zahr-e-ishq talattuf gurez thā
chiñgāriyoñ ne varna pukārā to hai abhī
ḳhvāboñ ko dar-ba-dar hī rakhā thā nasīb ne
āshuftagī meñ jaañ kā ḳhasāra to hai abhī
ma.alūm hai ki kuchh bhī nahīñ dasht-e-zīst meñ
ummīd-e-ḳhvāb hī pe guzārā to hai abhī
ruḳhsat shab-e-firāq bahut sah liyā tujhe
hamrāz garche ḳhvāb sitārā to hai abhī
be-tābiyāñ sameT ke pūchhā kare hai dil
qismat meñ apnī sub.h kā taarā to hai abhī