ba-zāhir raunaqoñ meñ bazm-ārā.ī meñ jiite haiñ
haqīqat hai ki ham tanhā haiñ tanhā.ī meñ jiite haiñ
sajā kar chār-sū rañgīñ mahal tere ḳhayāloñ ke
tirī yādoñ kī ra.anā.ī meñ zebā.ī meñ jiite haiñ
ḳhushā ham imtihān-e-dasht-gardī ke natīje meñ
ba-sad-e.ajāz mashq-e-ābla-pā.ī meñ jiite haiñ
sitam-gāroñ ne ā.īn-e-vafā mansūḳh kar Daalā
magar kuchh log abhī ummīd-e-hijrāī meñ jiite haiñ