us kī shabāhat kisī shams-o-qamar meñ nahīñ
ek use dekh kar koī nazar meñ nahīñ
qāsid zohra maqām kah use merā salām
jis kā nasheman mirī rāhguzar meñ nahīñ
kyā kashish jazb-e-dil tujh meñ kamī hai ki vo
mehvar-e-sayyārgāñ tere asar meñ nahīñ
chashm-e-sitārā-shumār kushta-sadā intizār
diid kī koī naved najm-e-sahar meñ nahīñ
ham jo dikhāte nahīñ lāla-o-gul kī tarah
ye na samajhnā koī daaġh jigar meñ nahīñ
sabz qabā-e-chaman sirf fareb-e-nazar
aas kī koñpal kisī shāḳh-e-shajar meñ nahīñ
ek tujhī ko 'sabā' kyuuñ hai thakan kā gilā
mauja-e-gul aur havā kaun safar meñ nahīñ