durust hai ki ye din rā.egāñ nahīñ guzre
magar sukūñ se to ai jān-e-jāñ nahīñ guzre
mizāj-e-shahr-e-junūñ ab ye barhamī kaisī
kis aag se tire pīr-o-javāñ nahīñ guzre
nazar se duur sahī phir bhī kushtagān-e-vafā
vahāñ se kam to ye sadme yahāñ nahīñ guzre
muravvatan vo mirī baat pūchh kar chup haiñ
vagarna kab mire shikve garāñ nahīñ guzre
samundaroñ kī havā duur duur se na guzar
vahāñ kā haal sunā ham jahāñ nahīñ guzre
hujūm-e-kār jahāñ ho ki dasht-e-jāñ kā sukūt
tire firāq ke sadme kahāñ nahīñ guzre
guzar ga.e vo jo jaañ se magar ye hasrat hai
koī 'sabā' se ye kah de miyāñ nahīñ guzre