ehsās-e-ziyāñ ham meñ se akasr meñ nahīñ thā
is dukh kā mudāvā kisī patthar meñ nahīñ thā
vo shaḳhs to shab-ḳhūn meñ maarā gayā varna
us jaisā bahādur koī lashkar meñ nahīñ thā
ab ḳhaak huā huuñ to ye ahvāl khulā hai
sho.ale ke sivā kuchh mire paikar meñ nahīñ thā
ye vāqi.a merā thā ki thā sāneha merā
maiñ apne hī ghar meñ thā magar ghar meñ nahīñ thā
har ishq ke manzar meñ thā ik hijr kā manzar
ik vasl kā manzar kisī manzar meñ nahīñ thā