ziist karnā dar-e-idrāk se bāhar hai abhī
ye sitāra mire aflāk se bāhar hai abhī
DhūñDte haiñ usī nashshe ko sabhī bāda-gusār
ek nashsha jo rag-e-tāk se bāhar hai abhī
ek hī lamhe meñ tasḳhīr karegī use aañkh
par vo lamha mire aflāk se bāhar hai abhī
kuchh mire chāk-e-garebāñ ko ḳhabar ho shāyad
ek gardish jo mire chaak se bāhar hai abhī
bas vahī ashk mirā hāsil-e-girya hai 'aqīl'
jo mire dīda-e-namnāk se bāhar hai abhī