vo raushnī jo shafaq kā libās chhoḌ ga.ī
mire liye to vo lamhe udaas chhoḌ ga.ī
bahār dard bharā iqtibās chhoḌ ga.ī
har ik shajar kā badan be-libās chhoḌ ga.ī
ajiib lahar meñ ham ne havā kā saath diyā
ajiib moḌ pe ab ġham-shanās chhoḌ ga.ī
nasīm-e-sub.h guloñ ko gudāz detī rahī
magar diloñ kī fazā ko udaas chhoḌ ga.ī
phir is se uglā safar raushnī kā thā 'tauqīr'
mujhe jahāñ vo sitāra-shanās chhoḌ ga.ī