apne manzar se judā thā ik din
paanī sahrā meñ khaḌā thā ik din
niiñd uḌte hue qālīn pe thī
sāmne shahr-e-balā thā ik din
ka.ī sadiyoñ meñ nahīñ aa.egā
us ne ḳhat meñ jo likhā thā ik din
phir yahī baat na maiñ bhuul sakā
maiñ use bhuul gayā thā ik din
ik masarrat bharā din raakh huā
haath se phuul girā thā ik din
jhilmilātī huī lau yaad karo
koī iz.hār huā thā ik din
aañkh paanī meñ ghirī hai ab tak
jaane kyā us pe banā thā ik din