ek Tahnī se barg TuuTā hai
saarī shāḳhoñ se ḳhuun phūTā hai
ab to qismat pe chhoḌ de milnā
tez paanī meñ haath chhūTā hai
maiñ ne phūloñ pe haath rakkhā thā
kyuuñ hathelī se ḳhuun phūTā hai
vaqt kar degā faisla is kā
kaun sachchā hai kaun jhūTā hai
hañsne vaale ko kyā ḳhabar is kī
mujh pe kaisā pahāḌ TuuTā hai
us ke fan meñ to shak nahīñ lekin
ye bhī maano vo shaḳhs jhūTā hai
maiñ kahūñ bhī to kaun mānegā
jis kamāñ se ye tiir chhūTā hai
kis ko 'tauqīr' ye ḳhabar hogī
kis ta.alluq se us ne luuTā hai