havā ke ruḳh pe rah-e-e'tibār meñ rakkhā
bas ik charāġh kū-e-intizār meñ rakkhā
ajab tilism-e-taġhāful thā jis ne der talak
mirī anā ko bhī kunj-e-ḳhumār meñ rakkhā
uḌā diye ḳhas-o-ḳhāshāk-e-ārzū sar-e-rāh
bas ek dil ko tire iḳhtiyār meñ rakkhā
na jaane kaun ghaḌī thī ki apne hāthoñ se
uThā ke shīsha-e-jāñ is ġhubār meñ rakkhā
ye kis ne misl-e-mah-o-mahr apnī apnī jagah
visāl o hijr ko un ke madār meñ rakkhā
lahū meñ Doltī tanhā.ī kī tarah 'ḳhāvar'
tirā ḳhayāl dil-e-be-qarār meñ rakkhā