ushshāq bahut haiñ tire bīmār bahut haiñ
tujh husn-e-dil-ārām ke haqdār bahut haiñ
ai sañg-sifat aa ke sar-e-bām zarā dekh
ik ham hī nahīñ tere talabgār bahut haiñ
bechain kiye rakhtī hai har aan ye dil ko
kam-baḳht mohabbat ke bhī āzār bahut haiñ
miTTī ke khilaune haiñ tire haath meñ ham log
aur gir ke bikhar jaane ke āsār bahut haiñ
likkheñ to koī misra-e-tar likh nahīñ paate
aur 'ġhālib'-e-ḳhasta ke taraf-dār bahut haiñ
ai rabb-e-hunar chashm-e-ināyāt idhar bhī
har-chand ki ham tere gunahgār bahut haiñ
'ḳhāvar' use pā lene meñ kho dene kā Dar hai
andesha o hasrat ke miyāñ ḳhaar bahut haiñ