charāġh-e-qurb kī lau se pighal gayā vo bhī
azāb-e-hijr se maiñ kyaa, nikal gayā vo bhī
ridā-e-abr-e-jamāl-e-hijāb kyā sarkī
ki añg añg sitāroñ meñ Dhal gayā vo bhī
dayār-e-ḳhvāb meñ ik shaḳhs ham-qadam thā magar
paḌā jo vaqt to rasta badal gayā vo bhī
ye us kī yaad kā e.ajāz thā ki ab ke baras
jo vaqt ham pe kaḌā thā so Tal gayā vo bhī
ajab tilism-e-numū thā vafā kī miTTī meñ
havā-e-hijr chalī, phuul phal gayā vo bhī