Ayub Khawar

sochon mein lahu uchhaalte hain

Ayub Khawar

sochoñ meñ lahū uchhālte haiñ
ham apnī tahoñ meñ jhāñkte haiñ
duniyā kī hazār nematoñ meñ
ham ek tujhī ko jānte haiñ
āñkhoñ se dukhoñ ke rañg āḳhir
sāras kī uḌaan uḌ ga.e haiñ
sāvan kī tarah hameñ bhigo kar
bādal kī tarah guzar ga.e haiñ
yuuñ bhī hai ki pyaar ke nashe meñ
kuchh soch ke log ro paḌe haiñ
vo dukh to ḳhushī ke baab meñ the
ye dukh jo tulū ho rahe haiñ
jo kuchh bhī hai dil ke aa.ine meñ
sab terī nazar ke zāviye haiñ
bahte hue do badan samundar
hoñToñ ke kināre aa mile haiñ
kuchh bhī to nahīñ hai paas 'ḳhāvar'
bas ek anā hai rat-jage haiñ
Top Urdushayar.com