Ayub Khawar

koi na dekhe gunj hawa ki

Ayub Khawar

koī na dekhe guuñj havā kī
nigarāñ hai ik zaat ḳhudā kī
kho ga.iiñ chhoTī chhoTī uḌāneñ
phailte shahroñ meñ chiḌiyā kī
jitne sahrā vo sab mere
sonā hai miTTī duniyā kī
pahle apnī tah ko pā le
dekh ravānī phir dariyā kī
maiñ ne un āñkhoñ kī ḳhātir
phūloñ jaisī ek duā kī
un pathrīlī āñkhoñ meñ hai
ik chup chup tasvīr vafā kī
zāt-safar ke lākhoñ raste
ābla-pā.ī mujh tanhā kī
darvāze kī oT se jhāñke
yaad tumhārī shakl sabā kī
ġham andar kā nam hai 'ḳhāvar'
bāhar aañch hai tez havā kī
Top Urdushayar.com