bujhne lage nazar to phir us paar dekhnā
dariyā chaḌhe to naav kī raftār dekhnā
is āgahī ke ā.īna-e-ḳhud-misāl meñ
ḳhud apnī zaat ko sar-e-paikār dekhnā
ā.ankhoñ se rat-jagoñ kī harārat nahīñ ga.ī
ai yād-e-yār tishna-e-āzār dekhnā
hoñToñ pe aa ke jam sī ga.ī ḳhvāhish-e-visāl
is an-kahī pe lazzat-e-inkār dekhnā
ham vo vafā-parast tujhe dekhne ke ba.ad
apnī taraf bhī sūrat-e-dīvār dekhnā
shāḳh o samar to munsif o qātil ke ho ga.e
ab kis ke sar pe girtī hai talvār dekhnā
yuuñ hai ki jab bichhaḌne lageñ dil se dhaḌkaneñ
tab us galī meñ sub.h ke āsār dekhnā
ab ye dil o nigāh ke bas meñ nahīñ rahā
har ā.īñe meñ aks-e-ruḳh-e-yār dekhnā
sāhil ko mauj le ga.ī aur us ko bādbāñ
ḳhāvar ab is ke ba.ad na us paar dekhnā