Ayub Khawar

lahron mein badan uchhaalte hain

Ayub Khawar

lahroñ meñ badan uchhālte haiñ
aao ki falak meñ Dūbte haiñ
duniyā kī hazār ne.amatoñ meñ
ham ek tujhī ko jānte haiñ
āñkhoñ se dukhoñ ke saare manzar
sāras kī uḌaan uḌ ga.e haiñ
hañste hue be-ġhubār chehre
be-vaj.h udaas ho rahe haiñ
kuchh dukh to ḳhushī ke baab meñ the
baaqī bhī nishān pā chuke haiñ
yuuñ bhī hai ki pyaar ke nashe meñ
kuchh soch ki log ro paḌe haiñ
sāvan kī tarah se log aa.e
ḳhushbū kī tarah se guzar ga.e haiñ
bahte hue do badan samundar
hoñToñ ke kināre aa lage haiñ
āñkhoñ meñ ye karbalā ke manzar
apnī hī anā ke rat-jage haiñ
Top Urdushayar.com