baat ye tere sivā aur bhalā kis se kareñ
tū jafā-kār huā hai to vafā kis se kareñ
aa.ina sāmne rakkheñ to nazar tū aa.e
tujh se jo baat chhupānī ho kahā kis se kareñ
haath uljhe hue resham meñ phañsā baiThe haiñ
ab batā kaun se dhāge ko judā kis se kareñ
zulf se chashm-o-lab-o-ruḳh se ki tere ġham se
baat ye hai ki dil-o-jāñ ko rihā kis se kareñ
tū nahīñ hai to phir ai husn-e-suḳhan-sāz batā
is bhare shahr meñ ham jaise milā kis se kareñ
tū ne to apnī sī karnī thī so kar lī 'ḳhāvar'
mas.ala ye hai ki ham us kā gilā kis se kareñ