is qadar ġham hai ki iz.hār nahīñ kar sakte
ye vo dariyā hai jise paar nahīñ kar sakte
aap chāheñ to kareñ dard ko dil se mashrūt
ham to is tarah kā bevpār nahīñ kar sakte
jaan jaatī hai to jaa.e magar ai dushman-e-jāñ
ham kabhī tujh pe koī vaar nahīñ kar sakte
jitnī rusvā.ī milī aap kī nisbat se milī
aap is baat se inkār nahīñ kar sakte
aap kar sakte haiñ ḳhushbū ko sabā se mahrūm
aur kuchh sāhab-e-kirdār nahīñ kar sakte
ek zanjīr sī palkoñ se bañdhī rahtī hai
phir bhī ik dasht ko gulzār nahīñ kar sakte
ye gul-e-dard hai is ko to mahaknā hai huzūr
aap ḳhushbū ko giraftār nahīñ kar sakte