harīm-e-husn se āñkhoñ ke rābte rakhnā
tamām umr tahayyur ke dar khule rakhnā
hisār-e-ā.īna-o-ḳhvāb se nikalne tak
shikast-e-zāt kā manzar sambhāl ke rakhnā
ye bārgāh-e-mohabbat hai merī ḳhalvat hai
mire harīf qadam ehtiyāt se rakhnā
farāz-e-koh-e-shab-e-ġham se dekhnā hai use
mire ḳhudā mirī qismat meñ rat-jage rakhnā
girā diyā jise ik baar apnī nazroñ se
phir us ko ḳhvāb kī had se bhī kuchh pare rakhnā