na koī din na koī raat intizār kī hai
ki ye judā.ī bharose kī e'tibār kī hai
jo ḳhaak uḌī hai mire dukh sameT leñge use
jo bichh ga.ī sar-e-manzar vo rahguzār kī hai
vo vasl ho ki khule aa.ine pe aks-e-jamāl
ye aarzū hai magar baat iḳhtiyār kī hai
isī kā naam hai vahshat-sarā-e-jāñ meñ charāġh
usī ke lams meñ dhaḌkan dil-e-figār kī hai
ye kaun thā jo sar-e-bām ḳhud ko bhuul gayā
ye kis kā raqs thaa, gardish ye kis ġhubār kī hai
ye kaun mujh meñ hare mausamoñ utartā hai
ye kaise rañg haiñ ḳhushbū ye kis dayār kī hai
bujhāne vaale ne 'ḳhāvar' bujhā diyā hai charāġh
yahī Thaharne kī saa.at yahī mazār kī hai