Ayub Khawar

aankh ki dahliz se utra to sahra ho gaya

Ayub Khawar

aañkh kī dahlīz se utrā to sahrā ho gayā
qatra-e-ḳhūñ pāniyoñ ke saath rusvā ho gayā
ḳhaak kī chādar meñ jism o jaañ simaTte hī nahīñ
aur zamīñ kā rañg bhī ab dhuup jaisā ho gayā
ek ik kar ke mire sab lafz miTTī ho ga.e
aur is miTTī meñ dhañs kar maiñ zamīñ kā ho gayā
tujh se kyā bichhḌe ki āñkheñ reza reza ho ga.iiñ
aa.ina TuuTā to ik ā.īna-ḳhāna ho gayā
ai havā-e-vasl chal phir se gul-e-hijrāñ khilā
sar uThā phir ai nihāl-e-ġham saverā ho gayā
ai jamāl-e-fan use mat ro ki tan-āsān thā
terī duniyāoñ kā 'ḳhāvar' sarf-e-duniyā ho gayā
Top Urdushayar.com