Ayub Khawar

safar mein faslon ke sath baadban kho diya

Ayub Khawar

safar meñ fāsloñ ke saath bādbān kho diyā
utar ke pāniyoñ meñ ham ne āsamān kho diyā
yahī ki in nafas-ġhubār sā.atoñ ke darmiyāñ
havā ne giit rah-guzar ne sārbān kho diyā
ye kaun sāvanoñ meñ ḳhvāb dekhtā hai dhuup ke
ye kis ne e'tibār-e-ġham pas-e-gumān kho diyā
bas ek harf kā gudāz us pe qarz thā so vo
bichhaḌte vaqt ḳhāmushī ke darmiyān kho diyā
firāq manziloñ kā ik ġhubār thā ki jis ghaḌī
charāġh-e-shab ne aur dil ne mehmān kho diyā
rutoñ meñ ek rut yahāñ shajar bhī kāTne kī thī
pata chalā jab apne ghar kā pāsbān kho diyā
bachā liyā thā ḳhvāb jo masāfatoñ kī dhuup se
vo abr-o-bād manzaroñ ke darmiyān kho diyā
vo niiñd apne bachpane kī raah meñ ujaḌ ga.ī
us aañkh ne bhī mojazoñ kā ik jahān kho diyā
Top Urdushayar.com