Ayub Khawar

aankh mein KHwab nahin KHwab ka sani bhi nahin

Ayub Khawar

aañkh meñ ḳhvāb nahīñ ḳhvāb kā saanī bhī nahīñ
kunj-e-lab meñ koī pahlī sī kahānī bhī nahīñ
DhūñDhtā phirtā huuñ ik shahr-e-taḳhayyul meñ tujhe
aur mire paas tire ghar kī nishānī bhī nahīñ
baat jo dil meñ dhaḌaktī hai mohabbat kī tarah
us se kahnī bhī nahīñ us se chhupānī bhī nahīñ
āñkh-bhar niiñd meñ kyā ḳhvāb sameTeñ ki abhī
chāñdnī-rāt nahīñ rāt-kī-rānī bhī nahīñ
lailī-e-husn zarā dekh tire dasht-nazhād
sar-ba-sar ḳhaak haiñ aur ḳhaak uḌānī bhī nahīñ
kachche īñdhan meñ sulagnā hai aur is shart ke saath
tez karnī bhī nahīñ aag bujhānī bhī nahīñ
ab to yuuñ hai ki tire hijr meñ rone ke liye
aañkh meñ ḳhuun to kyā ḳhuun sā paanī bhī nahīñ
Top Urdushayar.com