ghar darvāze se duurī par saat samundar biich
ek anjāne dushman kī hai ghaat samundar biich
phir ye hārne vaalī āñkheñ jāgīñ is dhoke meñ
koī ḳhvāb bhañvar meñ aayā raat samundar biich
ab kyā ūñche bādbān par ḳhvāb sitāra chamke
āñkheñ rah ga.iiñ sāhil par aur haat samundar biich
is mausam meñ kaun kahāñ tak diyā jalā.e rakkhe
havā chale to Daal se TuuTe paat samundar biich
lahr se lahr mile to dekho qatre kī tanhā.ī
dil aisī ik buuñd kī kyā auqāt samundar biich
ek kahānī soch rahī hai mujh ko kaun kahe
ek jazīra Duub rahā hai zaat samundar biich
ek safar patvār kā apnā ek safar paanī kā
aur musāfir tanhā khā gayā maat samundar biich