ham ne kahne ko tumheñ dil se bhulāyā huā hai
bas yahī daaġh hai siine meñ chhupāyā huā hai
ab giregī bhī to kaise ki bahut sabr ke saath
ham ne dīvār ko hāthoñ se banāyā huā hai
baat karne ko bahut der se sochā us se
jis kī tahrīr ko āñkhoñ meñ basāyā huā hai
chashm-e-be-aib meñ us kā hī sarāpā kyuuñ thā
jis kā ġham hadd-e-tamannā meñ samāyā huā hai
ḳhvāhish-e-qurb ke paivand haiñ hāthoñ meñ mire
ai junūñ-zād mujhe kitnā satāyā huā hai
koī kahtā hai rifāqat nahīñ milne vaalī
koī kahtā hai vo dahlīz pe aayā huā hai
vasl kī shaam kā andāza bahut mushkil thā
ham ne pūchhā thā magar us ne chhupāyā huā hai