Natiq Gulavthi

dekhta rahta hun aksar sham-e-qudrat dekh kar

Natiq Gulavthi

Nagpur, Maharashtra, India

1886-1969
dekhtā rahtā huuñ aksar shām-e-qudrat dekh kar
ḳhūb-sūrat dekhtā huuñ ḳhūb-sūrat dekh kar
merī niyyat dekh kar merī tabī.at dekh kar
ruk gayā rañg-e-majāz apnī haqīqat dekh kar
nāz-bardārī kī ujrat koī Thahrātā nahīñ
dene vaale de diyā karte haiñ mehnat dekh kar
naaz bhī tum ko milā andāz bhī tum ko mile
kyā buto allāh bhī detā hai sūrat dekh kar
shādmānī dekhne vaalo hameñ bhī dekh lo
ḳhush hue the ham bhī sāmān-e-masarrat dekh kar
khelne ko jaan par kaafī hai jism-e-zār bhī
tum mujhe kyā dekhte ho merī himmat dekh kar
kis kī bū pā kar chaman meñ chaar din Thahrī bahār
ram ga.ī phūloñ meñ bū kis kī shabāhat dekh kar
kuchh nahīñ achchhā to duniyā meñ burā bhī kuchh nahīñ
kījiye sab kuchh magar apnī zarūrat dekh kar
Top Urdushayar.com