Natiq Gulavthi

bhar pae jaan-e-zar teri dosti se hum

Natiq Gulavthi

Nagpur, Maharashtra, India

1886-1969
bhar paa.e jān-e-zār tirī dostī se ham
jiite rahe to ab na mileñge kisī se ham
haiñ qāfile ke saath magar hai ravish judā
milte haiñ sab se aur nahīñ milte kisī se ham
zikr-e-sharāb-e-nāb pe vaa.iz ukhaḌ gayā
bole the achchhī baat bhale aadmī se ham
pāband-e-dair ho ke bhī bhūle nahīñ haiñ ghar
masjid meñ jā nikalte haiñ chorī chhupī se ham
duniyā badal ga.ī hai badal se ga.e haiñ kuchh
apnī ḳhushī badal ke tumhārī ḳhushī se ham
jaate kahāñ milā na phir apnā patā kahīñ
pahuñche to the bhaTak ga.e un kī galī se ham
'nātiq' hamī ko dil ne to kāfir banā diyā
ab kyā kaheñ ki haar ga.e bid.atī se ham
Top Urdushayar.com