Natiq Gulavthi

baada-masti aa karamat ho ke maiKHane mein aa

Natiq Gulavthi

Nagpur, Maharashtra, India

1886-1969
bāda-mastī aa karāmat ho ke maiḳhāne meñ aa
chal parī shīshe se uḌ kar mere paimāne meñ aa
dūsrā aisā kahāñ ai dasht ḳhalvat kā maqām
apnī vīrānī ko le kar mere vīrāne meñ aa
vahshat-e-dil kī nahīñ tadbīr juz afsurdagī
tañgī-e-zindāñ kisī pahlū se dīvāne meñ aa
kar murattab kuchh na.e andāz se apnā bayāñ
marne vaale zindagī chāhe to afsāne meñ aa
chal nikal jaa.eñ idhar se apnī duniyā kī taraf
haañ tū ai tār-e-nafas tasbīh ke daane meñ aa
pel zor aape se bāhar ho ke jā.egā kahāñ
aadmī ban aadmī aa apne paimāne meñ aa
dāman-e-fānūs meñ ai sham.a ḳhud-dārī nahīñ
kisvat-e-nāmūs agar chāhe to parvāne meñ aa
ḳhatm karnā chāhtā huuñ pech-o-tāb-e-zindagī
yād-e-gesū zor-e-bāzū ban mire shāne meñ aa
ho chalī hai rasm-e-ahl-e-ka.aba 'nātiq' ab to aam
barhaman bhī mujh se kahtā hai ki but-ḳhāne meñ aa
Top Urdushayar.com