Natiq Gulavthi

aalam-e-kaun-o-makan nam hai virane ka

Natiq Gulavthi

Nagpur, Maharashtra, India

1886-1969
ālam-e-kaun-o-makāñ naam hai vīrāne kā
paas vahshat nahīñ ghar duur hai dīvāne kā
zahr vaa.iz ke liye naam hai paimāne kā
ye bhī kyā mard-e-ḳhudā chor hai mai-ḳhāne kā
kabhī fursat ho musībat se to uTh kar dekhūñ
kaun se goshe meñ ārām hai kāshāne kā
be-ḳhud-e-shauq huuñ aatā hai ḳhudā yaad mujhe
rāsta bhuul ke baiThā huuñ sanam-ḳhāne kā
dil kī jaulāñ-gah-e-vahshat hai abad se mausūm
naam azal hai mire bhūle hue afsāne kā
dil jo apnā bhī hai 'nātiq' to ye apnā nahīñ kuchh
hai jo apnā bhī to hogā kisī begāne kā
Top Urdushayar.com