aa ga.ī dil kī lagī baḌh ke rag-e-jāñ ke qarīb
qāfila shauq kā hai manzil-e-armāñ ke qarīb
ādamiyyat nahīñ phaTkī tire darbāñ ke qarīb
varna aatā to hai insān hī insāñ ke qarīb
vaz-e-pābandī o āzādī-e-hastī tauba
ya.anī zindāñ se kahīñ duur na zindāñ ke qarīb
jur.at-e-afzā-e-savāl ai zahe andāz-e-javāb
aatī jaatī hai ab us but kī nahīñ haañ ke qarīb
hai to kuchh hashr kī aamad kā hameñ bhī khaTkā
is ke āsār to haiñ ganj-e-shahīdāñ ke qarīb
mujh ko ma.alūm huā ab ki zamāna tum ho
mil ga.ī rāh-e-sukūñ gardish-e-daurāñ ke qarīb
ġham-o-andoh kā lashkar bhī chalā aatā hai
ek ghoḌ-dauḌ sī hai umr-e-gurezāñ ke qarīb
girya-e-ġham ko hai palkoñ kā ishāra darkār
ek umDā huā tūfān hai mizhgāñ ke qarīb
jaan kis kis ko sambhāle ki sab ajzā-e-vajūd
haiñ pareshāni-e-ḳhātir se pareshāñ ke qarīb
paañv dāman se ulajhte haiñ ḳhudā ḳhair kare
haath rahte haiñ ka.ī din se garebāñ ke qarīb
bhuul jā ḳhud ko ki hai ma.arifat-e-nafs yahī
koī rahtā hī nahīñ sarhad-e-irfāñ ke qarīb
kasrat-e-ḳhār rah-e-shauq ilāhī tauba
kahīñ pahuñche to nahīñ rauza-e-rizvāñ ke qarīb
marhabā bandagī-āmoz tasavvur terā
jis ke ehsān se pahuñchā huuñ maiñ ehsāñ ke qarīb
tuur kī chheḌ huī hosh-rubā varna kalīm
koī pahuñchā bhī to thā sho.ala-e-uryāñ ke qarīb
qadr-afzā.ī-e-māhaul-e-vatan kyā kahnā
daam yūsuf ke bahut aa ga.e kan.āñ ke qarīb
ab to 'nātiq' kā bas itnā hī patā chaltā hai
hai kahīñ ghar se bahut duur bayābāñ ke qarīb