pahuñch ga.e to kareñge idhar-udhar kī talāsh
abhī to hai hameñ un kī galī meñ ghar kī talāsh
hamāre aib meñ jis se madad mile ham ko
hameñ hai āj-kal aise kisī hunar kī talāsh
charāġh le ke phirā DhūñDhtā huā ghar ghar
shab-e-firāq jo mujh ko rahī sahar kī talāsh
talāsh-e-yār meñ kaam aa ga.e hamī āḳhir
hamāre kaam nahīñ aa.ī umr bhar kī talāsh
yūñhī kabhī dur-e-mazmūñ milā nahīñ 'nātiq'
bahut se ġhote khilātī hai ik guhar kī talāsh