Natiq Gulavthi

mahfil-e-naz se main ho ke pareshan uTha

Natiq Gulavthi

Nagpur, Maharashtra, India

1886-1969
mahfil-e-nāz se maiñ ho ke pareshān uThā
baiThne bhī nahīñ paayā thā ki tūfān uThā
zid na kar ai dil-e-nāshād, kahā maan uThā
ghar meñ rahne kā Thikāna nahīñ sāmān uThā
ban ravādār ye apnoñ kī shikāyat kaisī
naam isī kā to muravvat hai ki nuqsān uThā
sab sitāre nahīñ is rāhguzar ke zarre
dil ke TukḌe bhī inhīñ meñ to haiñ pahchān, uThā
Thokareñ khā ke musībat kī samajh to aa.ī
aadmī ban to gayā, chauñk to insān uThā
maslahat vaqt kī aaj aur hai ai bāda-farosh
kal kī kal socheñge is vaqt to dukkān uThā
aise bohtān lagā.e ki ḳhudā yaad aayā
but ne ghabrā ke kahā mujh se ki qur.ān uThā
aaj hai kis liye aisā tirā andāz-e-hijāb
ajnabī kaun hai mahfil meñ pakaḌ kaan uThā
dekh ye baar kabhī sar se utartā hī nahīñ
zindagī bhar kī musībat hai na ehsān uThā
sher-goī na.e andāz kī tajdīd-e-ḳhayāl
dekhnā chāhe to 'nātiq' mirā dīvān uThā
Top Urdushayar.com