kyā irāde haiñ vahshat-e-dil ke
kis se milnā hai ḳhaak meñ mil ke
ai dil-e-shikva-sanj kyā guzrī
kis liye hoñT rah ga.e sil ke
miTte jaate haiñ rāh-e-umr meñ dost
mil rahe haiñ nishān manzil ke
chhoḌ 'nātiq' fazā-e-bazm-e-shikast
uTh ke TukḌe sambhāl le dil ke