rindān-e-bāda-nosh kī chhāgal uThā to lā
bād-e-bahār dauḌ ke bādal uThā to lā
aa umr-e-rafta hashr ke dam-ḳham bhī dekh leñ
tūfān-e-zindagī kī vo halchal uThā to lā
sar se dayār-e-ġham ke sanīchar utaar de
mañgal hai jis meñ jā ke vo jañgal uThā to lā
lālach batā ke duur se vaa.iz kā rañg dekh
ḳhālī hī kyuuñ na ho koī botal uThā to lā
ai zindagī junūñ na sahī be-ḳhudī sahī
tū kuchh bhī apnī aql se pāgal uThā to lā
aatī hai yaad sub.h-e-masarrat kī baar baar
ḳhurshīd aate aate use kal uThā to lā
kashtī hai ghaaT par to chale kyuuñ na daur aaj
kal bas chale chale na chale chal uThā to lā
'nātiq' junūn-e-ḳhidmat-e-ahbāb kis liye
dekheñ to kyā milā hai tujhe phal uThā to lā