Natiq Gulavthi

sham-e-kushta ki tarah main teri mahfil se uTha

Natiq Gulavthi

Nagpur, Maharashtra, India

1886-1969
sham-e-kushta kī tarah maiñ tirī mahfil se uThā
aah kaisī vo dhuāñ thā jo bujhe dil se uThā
khel hai hasti-e-mauhūm magar hai dilchasp
jo yahāñ baiTh gayā aa ke vo mushkil se uThā
tū ne ye kis ko uThāyā hai ki dil baiTh ga.e
kaun baiThā hai ki fitna tirī mahfil se uThā
kaun ġharqāb huā hai ki uḌātā huā ḳhaak
aaj be-tāb bagūlā lab-e-sāhil se uThā
ham-safar hai koī uftād to pesh aane ko
ki qadam aaj ulajhtā huā manzil se uThā
jī churāne kī nahīñ shart dil-e-zār yahāñ
rañj uThāne hī kī Thahrī hai to phir dil se uThā
ahl-e-haq bhī yahīñ mil jā.eñge uTh to 'nātiq'
haq kī āvāz to but-ḳhāna-e-bātil se uThā
Top Urdushayar.com