is ġham ko ġham kaheñ to kaheñ sau meñ ham ġhalat
barsoñ tumhāre ġham se kiyā ham ne ġham ġhalat
kahnā ye tum se hai ki falak darmiyāñ na ho
rasm-e-sitam durust hai tarz-e-sitam ġhalat
kis ko tire itaab kī duniyā meñ taab hai
dam kī koī kahe to ġhalat ek dam ġhalat
insān kā havā pe madār-e-hayāt hai
kyā zindagī meñ jaan hai dam kā bharam ġhalat
vo bhī ḳhirām-e-nāz se bhūlā hai chaukḌī
kartā hai ab to āhū-e-sahrā bhī ram ġhalat
'nātiq' ḳhayāl-e-ishq bajā fikr-e-aish raast
kis vahm meñ paḌā hai ye donoñ baham ġhalat