kar diyā dahr ko andher kā maskan kaisā
har taraf naam kiyā aap ne raushan kaisā
lag ga.ī ek jhaḌī jab mirā jī bhar aayā
log sāvan ko liye phirte haiñ sāvan kaisā
duḳhtar-e-raz se ulajhte ho ye kyā hazrat-e-shaiḳh
banda-parvar ye buḌhāpe meñ laḌakpan kaisā
dost hī thā jise 'nātiq' na huī kuchh parvā
varna royā hai mire haal pe dushman kaisā