DhūñDhtī hai iztirāb-e-shauq kī duniyā mujhe
aap ne mahfil se uThvā kar kahāñ rakkhā mujhe
ai nigāh-e-mast is kā naam hai kaif-e-surūr
aaj tū ne dekh kar merī taraf dekhā mujhe
yaar se ho kar judā jaur-e-falak kā ġham nahīñ
ho chukī vo baat thī jis baat kī parvā mujhe
saath bhī chhoḌā to kab jab sab bure din kaT ga.e
zindagī tū ne kahāñ aa kar diyā dhokā mujhe