Natiq Gulavthi

jis ki hasrat thi use pa bhi chuke kho bhi chuke

Natiq Gulavthi

Nagpur, Maharashtra, India

1886-1969
jis kī hasrat thī use pā bhī chuke kho bhī chuke
ab kisī chiiz kā ham ko nahīñ armāñ hotā
shiddat-e-dard hī hotī kahīñ ġhārat-gar-e-hosh
baḳht itnā to na barham-zan-e-sāmāñ hotā
chāra-gar koshish-e-be-sūd hai tadbīr-e-ilāj
ham na hote to maraz qābil-e-darmāñ hotā
aa hī jaatā hai bure vaqt meñ apnoñ ko ḳhayāl
koī hotā jo hamārā bhī to pursāñ hotā
pūchhte kyā ho sabab dafn-e-dil-e-zār ke ba.ad
maiñ musībat-zada ab bhī na hirāsāñ hotā
rone vāloñ ko to taqdīr se ro baiThe the
ai ajal kaun hamāre liye giryāñ hotā
ġham ko ab rakhiye kahāñ ziist kahīñ ziist bhī ho
ḳhatm qissa huā jis kā ki ye unvāñ hotā
ham to is baat pe raazī the magar ai 'nātiq'
nafs-e-kāfir bhī kisī tarah musalmāñ hotā
Top Urdushayar.com