Natiq Gulavthi

bhag ki manzil-e-qarar umr ki rahguzar nahin

Natiq Gulavthi

Nagpur, Maharashtra, India

1886-1969
bhaag ki manzil-e-qarār umr kī rahguzar nahīñ
is meñ farār ke sivā aur koī mafar nahīñ
hai to balā-e-zindagī rasm-e-vafā magar nahīñ
baat ye hai ki ḳhair se shar pe mirī nazar nahīñ
shaiḳh jazā-e-kār-e-ḳhair ye jo batā rahā hai aaj
baat to ḳhuub hai magar aadmī mo'tabar nahīñ
bahr-e-husūl-e-mudda.ā raat din ek kījiye
rāh-e-talab ke vāste shaam nahīñ sahar nahīñ
rahte haiñ duur duur ham rasm-o-rivāj-e-zīst se
chalte haiñ jis pe aam log apnī vo rahguzar nahīñ
chhoḌ bhī dete mohtasib ham to ye shaġhl-e-mai-kashī
zid kā savāl hai to phir jā isī baat par nahīñ
kaun hai jo nahīñ shikār is meñ ḳhayāl-e-ḳhām kā
kyā hai ye bazm-e-zindagī dām-e-fareb agar nahīñ
'nātiq'-e-nīm-jāñ agar hai bhī to sub.h-o-shām kā
kal to ḳharāb-hāl thā aaj kuchh ḳhabar nahīñ
Top Urdushayar.com