Natiq Gulavthi

bazm-e-duniya jis ko kahte hain wo pagal-KHana tha

Natiq Gulavthi

Nagpur, Maharashtra, India

1886-1969
bazm-e-duniyā jis ko kahte haiñ vo pāgal-ḳhāna thā
ham ne ḳhud dekhā hai matlab kā har ik dīvāna thā
bāġhbāñ ye chaar tinke the paḌe rahte kahīñ
naḳhl-e-mātam par bhī kyā bhārī mirā kāshāna thā
ai shab-e-hijrāñ zyāda paañv phailātī hai kyuuñ
bhar gayā jitnā hamārī umr kā paimāna thā
DhūñDo to but bhī yahīñ mil jā.eñge mard-e-ḳhudā
ham ne dekhā hai haram hī meñ kahīñ but-ḳhāna thā
kar gayā kyūñkar bayān-e-dard-e-dil un par asar
ye to ai 'nātiq' koī afsūñ na thā afsāna thā
Top Urdushayar.com