Natiq Gulavthi

junun talash mein hai pa na le bahaar mujhe

Natiq Gulavthi

Nagpur, Maharashtra, India

1886-1969
junūñ talāsh meñ hai pā na le bahār mujhe
nadīm! ab na mire naam se pukār mujhe
surūr-e-bāda-e-nā-ḳhurda raqs-e-bazm-e-hayāt
bahut pasand hai ā.īn-e-intizār mujhe
phir aaj ham-safar-e-zindagī kahāñ huuñ maiñ
ye kaun raah bhulātā hai baar baar mujhe
zamāna-sāzī-e-ahbāb abhī nahīñ samjhā
samajh rahā huuñ zamāna hai sāzgār mujhe
suqūt-e-nabz ḳhabar hai sukūn-e-ḳhātir kī
ab aa chalā hai ab aa jā.egā qarār mujhe
go dostī na sahī dushmanī nibāh to dī
milā nasīb se dushman vafā-shi.ār mujhe
adam kā zinda namūna huuñ maiñ yahāñ 'nātiq'
vajūd maañg ke laayā hai musta.ār mujhe
Top Urdushayar.com