aa ke bazm-e-hastī meñ kyā batā.eñ kyā paayā
ham ko thā hī kyā lenā but mile ḳhudā paayā
hai maraz to jo kuchh hai thī davā to jaisī thī
chārasāz ko ham ne haañ ghaTā huā paayā
dūsroñ ko kyā kahiye dūsrī hai duniyā hī
ek ek apne ko ham ne dūsrā paayā
kam samajh meñ aate haiñ ab to us ke gul-būTe
ham ne naqsh-e-hastī ko kuchh miTā miTā paayā
baiTh kar to 'nātiq' se baat kī nahīñ ham ne
raah chalte dekhā thā kuchh chalā huā paayā