Natiq Gulavthi

aaya to dil-e-wahshi dar-band-e-niyaz aaya

Natiq Gulavthi

Nagpur, Maharashtra, India

1886-1969
aayā to dil-e-vahshī dar-band-e-niyāz aayā
bargashta muqaddar thā sar-gashta-e-nāz aayā
ik harf-e-shikāyat par kyuuñ ruuTh ke jaate ho
jaane do ga.e shikve aa jaao maiñ baaz aayā
nau-vārid-e-hastī uTh kis vahm meñ baiThā hai
hotī hai azaañ sun le chal vaqt-e-namāz aayā
bardashta-ḳhātir thā ishrat kī haqīqat se
maiñ dām-e-musībat meñ āsūda-e-rāz aayā
rāhat-gah-e-turbat se tū ne to bahut rokā
marmar ke magar maiñ bhī ai umr-e-darāz aayā
bhūlā huā phirtā hai dil apnī haqīqat ko
le ai ġham-e-hastī le ik mahv-e-majāz aayā
kal hayyā-alā kī sī āvāz ik aa.ī thī
'nātiq' ne kahā sun kar haañ banda-navāz aayā
Top Urdushayar.com